Aah Ko Chahiye - Mirza Ghalib


Aah Ko Chahiye Ek Umer Asar Hone Tak

Kon Jeeta Hai Tere Zulf K Sar Hone Tak

Daam Har Mauj Main Hai Halqa-e-Sad Kaam-e-Nehang

Dekhen Kya Guzre Hain Qatre Pe Gohar Hone Tak

Aashiqi Sabar Talab Or Tammana Betaab

Dil Ka Kya Rung Karon Khon-e-Jigar Hone Tak

Hum Ne Mana K Taghafil Na Karoge Lakin!

Khak Hojayenge Hum, Tum Ko Khabar Hone Tak

Yak Nazar Besh Nahi Fursat-e-Hasti Ghafil

Garmi-e-Bazm Hai Ik Raqs-e-Sharar Hone Tak

Gham-e-Hasti Ka “Asad” Kis Se Ho Juz Marg Elaaj

Sham’ma Har Rung Main Jalti Hai Sehar Hone Tak

Comments

  1. GAliB a great great poet of our urdu... how much beatuiful it is
    "Hum Ne Mana K Taghafil Na Karoge Lakin!
    Khak Hojayenge Hum, Tum Ko Khabar Hone Tak"... awsum gazal

    ReplyDelete

Post a Comment