Bohat Farsooda Lagte Hain - Ghazal

Bohat Farsooda lagte hain mujhay ab yaar k qisse

Gul-o-gulzaar ki baten lab-o-Rukhsaar k qisse

Yahan sab k muqaddar main faqat zakham-e-Judaye hai

Sabhi Jhoote Fasane hain wisaal-e-yaar k qisse

Bhala ishq-o-Muhabbat main kisi ka pait bharta hai?

Suno tum ko sunata hon main karobaark qisse

Mere ehbaab kehte hain yehi ik aib hai mujh main

Sar-e-Dewaar likhta hon pas-e-dewaar k kisse

Main aksar islye logon se jakar khud nahi milta

Wohi bekaar ki baten Wohi bekaar k qisse

Comments