Kon Kehta Hai K Maut - Ahmed Naseem Qasmi Ghazal



Kon kehta hai k maut aaye to marjaonga
Main to darya hon, samandar main utar jaonga

Tera dar chor k main or kidher jaonga
Ghar main ghir jaonga, sehra main bikhar jaonga

Tere pehlu se jo uthonga to mushkil ye hai
Sirf ik shaks ko paonga jidher jaonga

Ab tere shehar main aonga, musafir ki tarah
Saya-e-Abar ki manind guzar jaonga

Charah sazon se alag hai mere mayaar k main
Zakhm khaonga to kuch or sanwar jaonga

Zindagi shamma ki manind jalata hon “Nadeem”
Bujh to jaonga magar subha to karjaonga

Comments