Sunte Hain Phir by Ibn-e-Insha

Suntey hain phir chup chup un k ghar main aatey jaate ho
Insha sahab na-huq jee ko wehshat main uljhaatey ho

Dil ki baat chupaani mushkil, lakin khoob chupate ho
Ban main dana, sheh'r k under deewane kehlatey ho

Be-kal be-kal rehtey ho, per mehfil k adaab k saath
Aankh chura kar dekh bhi letey, bhole bhi ban jatey ho

Peet main aise laakh jatan hain, lekin ik din sab nakaam
Aap jahan main ruswa ho gaye, va'az humain farmaatey ho

Hum sey naam junoon ka qaim, hum sey dasht ki aabadi
Hum se dard ka shikwa karte, hum ko zakhm dikhaate ho?

Comments