Ye Na Thi Hamari Qismat - Mirza Ghalib


Ye na thi hamari qismat, k visaal-e-yaar hota 
Agar aur jeete rehte, yehi intezaar hota 

Tere waade par jeye hum, to ye jaan jhoot jana 
K khushi say mar na jaate, agar aitbaar hota 
 
Rug-e-sung say tapakta, wo lahoo k phir na thumta 
Jese ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota 
 
Kahoon kiss se main ke kya hai, shab-e-ghum buri bala hai 
Mujhay kya bura tha marna, agar aik baar hota 
 
Huwe mar k hum jo rusva, huwe kyun na gharq-e-darya 
Na kabhi janaza uth’ta, na kahin mazaar hota 

Ye masail-e-tasav’vuf, ye tera bayan “Ghalib” 
Tujhay hum wali samajhte, jo na baada khuwar hota

Comments

  1. Kahoon kiss se main ke kya hai, shab-e-ghum buri bala hai
    Mujhay kya bura tha marna, agar aik baar hota

    This sher is belong to Faiz Ahmed Faiz... just Radeef aik tha is liye use Ghalib ke sath likh diya....

    ReplyDelete

Post a Comment