Idher Dua Ki Samanton - Ghazal By Dr. Faryaad Aazar


Idher dua ki sama’aton ka riwayati asmaan bhi chup
Idher sisakte hue labon ka barhana, tarz-e-bayaan bhi chup

Na jaane kin khuwahishon ki shiddat ka shor kamre main gonjta tha
Na jaane kya keh gaye hawa, hogaya khali makaan bhi chup

Naye ruton ne hawa ki ru se na jaane kya saaz baaz karli
K sabz sadiyun se goonjti arahi nida-e-azaan bhi chup

Kahin koi sar phiri nida parda samaat bhi noch dale
Magar kahin dasht-e-samaat se ehtajaji zubaan bhi chup

Pukarta tha panah le le koi bhi saye main mere “Aazar”
Thi dhoop aise hamare sar pe k hogaya sayebaan bhi chup

Comments